Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ko ruswa kiya ai husn ye kya kar diya

Fazil Kashmiri

ishq ko ruswa kiya ai husn ye kya kar diya

Fazil Kashmiri

MORE BYFazil Kashmiri

    ishq ko rusvā kiyā ai husn ye kyā kar diyā

    daar par mansūr ko vaqf-e-tamāshā kar diyā

    kar rahā hai nāḳhudā bād-e-muḳhālif gila

    merī qismat ne safīna ġharq-e-dariyā kar diyā

    terī badnāmī baa.is haiñ ye terī shoḳhiyāñ

    aur mirī betābiyoñ ne mujh ko rusvā kar diyā

    vaah kyā kahnā hai terā ai ḳhayāl-e-husn-e-yār

    kulba-e-tārīk meñ ne ujālā kar diyā

    ḳhūn-e-bulbul ko banā kar ġhāza-e-rū-e-bahār

    pattī pattī meñ chaman husn paidā kar diyā

    kyā sarāpā husn thā ishq husn-e-kamāl

    mujh ko merī ma.arifat ne terā shaidā kar diyā

    'fāzil'-e-nāchīz kyā thā ek qatra thā magar

    tere faiz-e-ām ne qatre ko dariyā kar diyā

    ishq ko ruswa kiya ai husn ye kya kar diya

    dar par mansur ko waqf-e-tamasha kar diya

    kar raha hai naKHuda baad-e-muKHalif ka gila

    meri qismat ne safina gharq-e-dariya kar diya

    teri badnami ka bais hain ye teri shoKHiyan

    aur meri betabiyon ne mujh ko ruswa kar diya

    wah kya kahna hai tera ai KHayal-e-husn-e-yar

    kulba-e-tarik mein tu ne ujala kar diya

    KHun-e-bulbul ko bana kar ghaza-e-ru-e-bahaar

    patti patti mein chaman ki husn paida kar diya

    kya sarapa husn hi tha ishq ka husn-e-kamal

    mujh ko meri marifat ne tera shaida kar diya

    'fazil'-e-nachiz kya tha ek qatra tha magar

    tere faiz-e-am ne qatre ko dariya kar diya

    Source:

    Ghazal (Pg. 13)

    • Author: Fazil Kashmiri
      • Publisher: Unknown Organization
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now