Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq majbur-e-fughan ai dil-e-nashad nahin

Arzoo Saharanpuri

ishq majbur-e-fughan ai dil-e-nashad nahin

Arzoo Saharanpuri

MORE BYArzoo Saharanpuri

    ishq majbūr-e-fuġhāñ ai dil-e-nāshād nahīñ

    ye to ik husn tā.īd hai fariyād nahīñ

    lazzat-e-be-ḳhudī-e-dīd rūdād na pūchh

    ik fasāna hai jo kuchh yaad hai kuchh yaad nahīñ

    ek pāband-e-vafā ek jafā pāband

    ishq majbūr sahī husn bhī āzād nahīñ

    husn-e-ma.anī tamāshā.ī haiñ nazreñ merī

    paḌh rahā huuñ vo sahīfe jo mujhe yaad nahīñ

    aur bedār huā ishq-o-vafā ehsās

    kaun kahtā hai ki kuchh hāsil-e-bedād nahīñ

    mere me.ayār-e-mohabbat ko na pūchho mujh se

    intihā ye hai ki ab tum bhī mujhe yaad nahīñ

    ḳhaak samjhegā vo asrār-e-mohabbat ai dost

    jo mirī tarah tire ishq meñ barbād nahīñ

    mere dil meñ tirī taskīn ke sau pahlū the

    o mire bhūlne vaale tujhe kyā yaad nahīñ

    yās-o-hirmāñ ye aalam hai ki allāh allāh

    ab ye dil tere tasavvur se bhī ābād nahīñ

    lazzat-e-ishq hai bedād-o-sitam ke dam se

    vo chaman nahīñ jis meñ koī sayyād nahīñ

    ab bhī miltā hai mujhe 'ārzū' ishrat payām

    mā.il-e-aish magar ḳhātir-e-nāshād nahīñ

    ishq majbur-e-fughan ai dil-e-nashad nahin

    ye to ek husn ki taid hai fariyaad nahin

    lazzat-e-be-KHudi-e-did ki rudad na puchh

    ek fasana hai jo kuchh yaad hai kuchh yaad nahin

    ek paband-e-wafa ek jafa ka paband

    ishq majbur sahi husn bhi aazad nahin

    husn-e-mani ki tamashai hain nazren meri

    paDh raha hun wo sahife jo mujhe yaad nahin

    aur bedar hua ishq-o-wafa ka ehsas

    kaun kahta hai ki kuchh hasil-e-bedad nahin

    mere meayar-e-mohabbat ko na puchho mujh se

    intiha ye hai ki ab tum bhi mujhe yaad nahin

    KHak samjhega wo asrar-e-mohabbat ai dost

    jo meri tarah tere ishq mein barbaad nahin

    mere dil mein teri taskin ke sau pahlu the

    o mere bhulne wale tujhe kya yaad nahin

    yas-o-hirman ka ye aalam hai ki allah allah

    ab ye dil tere tasawwur se bhi aabaad nahin

    lazzat-e-ishq hai bedad-o-sitam ke dam se

    wo chaman hi nahin jis mein koi sayyaad nahin

    ab bhi milta hai mujhe 'arzu' ishrat ka payam

    mail-e-aish magar KHatir-e-nashad nahin

    Source:

    Ilham-e-Sehar (Pg. 109)

    • Author: Arzoo Saharanpuri
      • Publisher: Urdu Markaz, Maghribi Bengal
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now