Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai

Saleem Ahmed

ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    ishq meñ jis ke ye ahvāl banā rakkhā hai

    ab vahī kahtā hai is vaz.a meñ kyā rakkhā hai

    le chale ho mujhe is bazm meñ yaaro lekin

    kuchh mirā haal bhī pahle se sunā rakkhā hai

    hāl-e-dil kaun sunā.e use fursat kis ko

    sab ko is aañkh ne bātoñ meñ lagā rakkhā hai

    dil burā thā ki bhalā kaam vafā ke aayā

    yaar jaane bhī de is bahas meñ kyā rakkhā hai

    ai sabā aa ki dikhā.eñ tujhe vo gul jis ne

    bātoñ bātoñ meñ gulzār khilā rakkhā hai

    dekh ai dil na kahīñ baat ye us tak pahuñche

    chashm-e-namnāk ne tūfān uThā rakkhā hai

    husn chāhe jise hañs bol ke apnā kar le

    dil ne apnoñ ko bhī begāna banā rakkhā hai

    dil jo is bazm meñ aatā hai to jaatā nahīñ

    ek din dekhnā dīvāna huā rakkhā hai

    haal mat pūchh mohabbat havā hai kuchh aur

    ke kis ne ye sar-e-rāh diyā rakkhā hai

    intizām aisā ki ghaTtī nahīñ raunaq-e-bazm

    ham se kitne haiñ ki vaade pe lagā rakkhā hai

    hosh to pahle kho aa.e the us mahfil meñ

    ab agar jaa.eñ to phir dil bhī gayā rakkhā hai

    tere aane ḳhabar ke abhī se dil ne

    shikve ko aur kisī din pe uThā rakkhā hai

    bār-hā yuuñ bhī huā terī mohabbat qasam

    jaan kar ham ne tujhe ḳhud se ḳhafā rakkhā hai

    dasht o dar ḳhair manā.eñ ki abhī vahshat meñ

    ishq ne pahlā qadam nām-e-ḳhudā rakkhā hai

    hijr meñ ranj bhī karte haiñ pe itnā bhī salīm

    yaar ne to ajab haal banā rakkhā hai

    ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai

    ab wahi kahta hai is waza mein kya rakkha hai

    le chale ho mujhe is bazm mein yaro lekin

    kuchh mera haal bhi pahle se suna rakkha hai

    haal-e-dil kaun sunae use fursat kis ko

    sab ko is aankh ne baaton mein laga rakkha hai

    dil bura tha ki bhala kaam wafa ke aaya

    yar jaane bhi de is bahas mein kya rakkha hai

    ai saba aa ki dikhaen tujhe wo gul jis ne

    baaton hi baaton mein gulzar khila rakkha hai

    dekh ai dil na kahin baat ye us tak pahunche

    chashm-e-namnak ne tufan uTha rakkha hai

    husn chahe jise hans bol ke apna kar le

    dil ne apnon ko bhi begana bana rakkha hai

    dil jo is bazm mein aata hai to jata hi nahin

    ek din dekhna diwana hua rakkha hai

    haal mat puchh mohabbat ka hawa hai kuchh aur

    la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai

    intizam aisa ki ghaTti hi nahin raunaq-e-bazm

    hum se kitne hain ki wade pe laga rakkha hai

    hosh to pahle hi kho aae the us mahfil mein

    ab agar jaen to phir dil bhi gaya rakkha hai

    tere aane ki KHabar pa ke abhi se dil ne

    shikwe ko aur kisi din pe uTha rakkha hai

    bar-ha yun bhi hua teri mohabbat ki qasam

    jaan kar hum ne tujhe KHud se KHafa rakkha hai

    dasht o dar KHair manaen ki abhi wahshat mein

    ishq ne pahla qadam nam-e-KHuda rakkha hai

    hijr mein ranj bhi karte hain pe itna bhi salim

    yar tu ne to ajab haal bana rakkha hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Saleem Ahmed

    Saleem Ahmed

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now