Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya

Sirajuddin Zafar

ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya

Sirajuddin Zafar

MORE BYSirajuddin Zafar

    ishq meñ kyā hāthoñ se kisī ke dāman-e-hastī chhūT gayā

    sham.a koī ḳhāmosh huī koī sitārā TuuT gayā

    khel rahī hai barq-e-tabassum phuul se nāzuk hoñToñ par

    jāniye kis maut aa.ī hai kis muqaddar phuuT gayā

    kaun thā ye bīmār-e-mohabbat jis bālīñ par aa kar

    husn bhī dariyā dariyā royā ishq bhī siina kuuT gayā

    terī bhī tasvīr thī us meñ is mujh ko ronā hai

    varna dil hastī kyā hai shīsha thā so TuuT gayā

    sail-e-mohabbat ke thā muqābil dil habāb-e-nāzuk bhī

    lekin ye ab yaad nahīñ hai kab ubhrā kab phuuT gayā

    ishq ne kaisī aafat Dhaa.ī sab maiḳhāne ḳhālī haiñ

    kaun-o-makāñ saarī mastī un āñkhoñ meñ kuuT gayā

    āh-e-mohabbat rishta thā nāzuk se bhī nāzuk-tar

    ab is ko kis tarah se joḌeñ TuuT gayā so TuuT gayā

    avval avval zauq-e-mohabbat thā mastī-e-be-pāyāñ

    āḳhir āḳhir vaqt vo aayā sahr-e-mohabbat TuuT gayā

    naaz mirī sarmastī ko kyā kyā thā sharāb-o-sāqī par

    us āñkhoñ ko jo dekhā haath se sāġhar chhūT gayā

    raat kisī bazm meñ go bedār thā maiñ hushyār thā maiñ

    lekin koī aañkh bachā kar dil bastī luuT gayā

    ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya

    shama koi KHamosh hui ya koi sitara TuT gaya

    khel rahi hai barq-e-tabassum phul se nazuk honTon par

    jaaniye kis ki maut aai hai kis ka muqaddar phuT gaya

    kaun tha ye bimar-e-mohabbat jis ki baalin par aa kar

    husn bhi dariya dariya roya ishq bhi sina kuT gaya

    teri bhi taswir thi us mein is ka mujh ko rona hai

    warna dil ki hasti kya hai shisha tha so TuT gaya

    sail-e-mohabbat ke tha muqabil dil ka habab-e-nazuk bhi

    lekin ye ab yaad nahin hai kab ubhra kab phuT gaya

    ishq ne kaisi aafat Dhai sab maiKHane KHali hain

    kaun-o-makan ki sari masti un aankhon mein kuT gaya

    aah-e-mohabbat ka rishta tha nazuk se bhi nazuk-tar

    ab is ko kis tarah se joDen TuT gaya so TuT gaya

    awwal awwal zauq-e-mohabbat tha masti-e-be-payan

    aaKHir aaKHir waqt wo aaya sahr-e-mohabbat TuT gaya

    naz meri sarmasti ko kya kya tha sharab-o-saqi par

    us ki aankhon ko jo dekha hath se saghar chhuT gaya

    raat kisi ki bazm mein go bedar tha main hushyar tha main

    lekin koi aankh bacha kar dil ki basti luT gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now