Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ne KHun kiya hai dil jis ka

Siraj Aurangabadi

ishq ne KHun kiya hai dil jis ka

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    ishq ne ḳhuuñ kiyā hai dil jis

    pāra-e-la.al ashk hai tis

    yaad kar kar amal meñ laatā huuñ

    har suḳhan ishq ke mudarris

    chashm-e-sāqī vasf likhtā huuñ

    le qalam haat shāḳh-e-nargis

    ġham ne piilā kiyā hamārā rañg

    kīmiyā-gar ne zar kiyā mis

    zulf dikhlā ke dil lapeT liyā

    ab pareshāñ hai haal majlis

    tum ne paa.e ho husn daulat

    pūchhte kab ho haal muflis

    be-kasī mujh siiñ āshnā hai 'sirāj'

    nahīñ to aalam meñ kaun hai kis

    ishq ne KHun kiya hai dil jis ka

    para-e-lal ashk hai tis ka

    yaad kar kar amal mein lata hun

    har suKHan ishq ke mudarris ka

    chashm-e-saqi ka wasf likhta hun

    le qalam hat shaKH-e-nargis ka

    gham ne pila kiya hamara rang

    kimiya-gar ne zar kiya mis ka

    zulf dikhla ke dil lapeT liya

    ab pareshan hai haal majlis ka

    tum ne pae ho husn ki daulat

    puchhte kab ho haal muflis ka

    be-kasi mujh sin aashna hai 'siraj'

    nahin to aalam mein kaun hai kis ka

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 340)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now