Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq pagal kar gaya to kya karoge soch lo

Fakhira batool

ishq pagal kar gaya to kya karoge soch lo

Fakhira batool

MORE BYFakhira batool

    ishq pāgal kar gayā to kyā karoge soch lo

    sāneha aisā huā to kyā karoge soch lo

    saath us ke har qadam chalne aadat kis liye

    chhoḌ kar vo chal diyā to kyā karoge soch lo

    shor bāhar hai abhī is vāste ḳhāmosh ho

    shor andar se uThā to kyā karoge soch lo

    kar rahe ho ghar nayā ta.amīr uḌtī ret par

    ye achānak gir gayā to kyā karoge soch lo

    lauT kar jaanā to hai āḳhir sabhī ko us taraf

    sau baras bhī liyā to kyā karoge soch lo

    dhaḌkaneñ maddham huī jaatī haiñ ai chāragaro

    chaak dil sil gayā to kyā karoge soch lo

    band palkoñ meñ adhūre ḳhvāb bante ho magar

    koī in meñ aa basā to kyā karoge soch lo

    dar darīche sab muqaffal kar ke baiThe ho magar

    vo achānak aa gayā to kyā karoge soch lo

    Dūbte sūraj chehra aur us naqsh-e-pā

    jab ye manzar gum huā to kyā karoge soch lo

    ishq pagal kar gaya to kya karoge soch lo

    saneha aisa hua to kya karoge soch lo

    sath us ke har qadam chalne ki aadat kis liye

    chhoD kar wo chal diya to kya karoge soch lo

    shor bahar hai abhi is waste KHamosh ho

    shor andar se uTha to kya karoge soch lo

    kar rahe ho ghar naya tamir uDti ret par

    ye achanak gir gaya to kya karoge soch lo

    lauT kar jaana to hai aaKHir sabhi ko us taraf

    sau baras bhi ji liya to kya karoge soch lo

    dhaDkanen maddham hui jati hain ai chaaragaro

    chaak dil ka sil gaya to kya karoge soch lo

    band palkon mein adhure KHwab bante ho magar

    koi in mein aa basa to kya karoge soch lo

    dar dariche sab muqaffal kar ke baiThe ho magar

    wo achanak aa gaya to kya karoge soch lo

    Dubte suraj ka chehra aur us ka naqsh-e-pa

    jab ye manzar gum hua to kya karoge soch lo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now