Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq se jab aashna husn-e-zuleKHa ho gaya

Khalid Nadeem Budauni

ishq se jab aashna husn-e-zuleKHa ho gaya

Khalid Nadeem Budauni

MORE BYKhalid Nadeem Budauni

    ishq se jab āshnā husn-e-zuleḳhā ho gayā

    misr ke bāzār meñ yūsuf saudā ho gayā

    ishq ra.anā.iyoñ se aap kyā vāqif hue

    guftugū meñ aap andāz paidā ho gayā

    chāñd tāroñ se na miT paayā añdhere vajūd

    ek jugnū ke chamakne se ujālā ho gayā

    ye karishma ham ne dekhā bazm-e-fitna-sāz meñ

    jo tamāsha karne aayā ḳhud tamāsha ho gayā

    kam na thiiñ yuuñ bhī to 'ḳhālid' ishq nairañgiyāñ

    aap ke aane se mausam aur suhānā ho gayā

    ishq se jab aashna husn-e-zuleKHa ho gaya

    misr ke bazar mein yusuf ka sauda ho gaya

    ishq ki ranaiyon se aap kya waqif hue

    guftugu mein aap ki andaz paida ho gaya

    chand taron se na miT paya andhere ka wajud

    ek jugnu ke chamakne se ujala ho gaya

    ye karishma hum ne dekha bazm-e-fitna-saz mein

    jo tamasha karne aaya KHud tamasha ho gaya

    kam na thin yun bhi to 'KHalid' ishq ki nairangiyan

    aap ke aane se mausam aur suhana ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now