ishq se jab mukalima hoga
'ishq se jab mukālima hogā
rab hī jaane hamārā kyā hogā
is liye hai pasand tanhā.ī
hūñgā maiñ aur mirā ḳhudā hogā
jis taraf dekhtā hai vo aksar
us taraf koī to gayā hogā
jis takalluf se mil rahā hai mujhe
zikr us ne mirā sunā hogā
manzileñ baa'd meñ huiiñ ījād
pahle jab rāsta banā hogā
us kī āñkhoñ meñ ḳhuun utrā hai
hādisa koī to huā hogā
pahle do dil judā hue hoñge
dariyā aise nahīñ banā hogā
saañs lene meñ hogī dushvārī
shahr dhūeñ se jab bharā hogā
itnā ḳhāmosh to nahīñ thā kabhī
us ko 'amjad' ne kuchh kahā hogā
'ishq se jab mukalima hoga
rab hi jaane hamara kya hoga
is liye hai pasand tanhai
hunga main aur mera KHuda hoga
jis taraf dekhta hai wo aksar
us taraf koi to gaya hoga
jis takalluf se mil raha hai mujhe
zikr us ne mera suna hoga
manzilen ba'd mein huin ijad
pahle jab rasta bana hoga
us ki aankhon mein KHun utra hai
hadisa koi to hua hoga
pahle do dil juda hue honge
dariya aise nahin bana hoga
sans lene mein hogi dushwari
shahr dhuen se jab bhara hoga
itna KHamosh to nahin tha kabhi
us ko 'amjad' ne kuchh kaha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.