mera dukh meri man ke dukh se thoDa muKHtalif hai
mirā dukh merī maañ ke dukh se thoḌā muḳhtalif hai
masā.il ek haiñ lekin zamāna muḳhtalif hai
sunā hai tīsrī duniyā meñ ausat 'umr kam hai
to un kā kātib-e-taqdīr goyā muḳhtalif hai
purāne peḌ manzar se haTātā jā rahā hai
ye mausam kis qadar saffāk kitnā muḳhtalif hai
tumhāre saath rishtoñ se bhī fursat pā ga.e ham
tumhāre baa'd apnoñ kā ravayya muḳhtalif hai
kabhī thiiñ khiḌkiyāñ rūmān-parvar jān-e-ālam
ye galiyāñ vo nahīñ haiñ ye darīcha muḳhtalif hai
naqāboñ ke udhar kyā hai ye 'uqda kaun khole
naqābeñ ek sī andar se chehra muḳhtalif hai
hamārī soch kā andāz hai auroñ se haT kar
hamārī shā'irī kā isti'āra muḳhtalif hai
mera dukh meri man ke dukh se thoDa muKHtalif hai
masail ek hain lekin zamana muKHtalif hai
suna hai tisri duniya mein ausat 'umr kam hai
to un ka katib-e-taqdir goya muKHtalif hai
purane peD manzar se haTata ja raha hai
ye mausam kis qadar saffak kitna muKHtalif hai
tumhaare sath rishton se bhi fursat pa gae hum
tumhaare ba'd apnon ka rawayya muKHtalif hai
kabhi thin khiDkiyan ruman-parwar jaan-e-alam
ye galiyan wo nahin hain ye daricha muKHtalif hai
naqabon ke udhar kya hai ye 'uqda kaun khole
naqaben ek si andar se chehra muKHtalif hai
hamari soch ka andaz hai auron se haT kar
hamari sha'iri ka isti'ara muKHtalif hai
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 97)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.