Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishrat ka KHayal aae aur dil mein malal aae

Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi

ishrat ka KHayal aae aur dil mein malal aae

Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi

MORE BYKhaleel-ul-Huda Shariq Niyazi

    ishrat ḳhayāl aa.e aur dil meñ malāl aa.e

    yuuñ jis ḳhayāl aa.e ḳhaak us ḳhayāl aa.e

    paiġhām-e-bahār aa.e majbūr-e-qafas tak kyoñ

    kyoñ ishrat-e-rafta ab dil meñ ḳhayāl aa.e

    saaqī tirī mahfil meñ andesha-e-fardā kyā

    sāġhar liye aa.e aur fikr-e-ma.āl aa.e

    kuchh hosh nahīñ ham ko paimān-e-vafā kyā thā

    ham sub.h-e-azal se sarmast-e-ḳhayāl aa.e

    ma.alūm nahīñ 'shāriq' kyoñ chāk-garebāñ haiñ

    phūloñ se koī pūchhe kyā ho ke nihāl aa.e

    ishrat ka KHayal aae aur dil mein malal aae

    yun jis ka KHayal aae KHak us ka KHayal aae

    paigham-e-bahaar aae majbur-e-qafas tak kyon

    kyon ishrat-e-rafta ka ab dil mein KHayal aae

    saqi teri mahfil mein andesha-e-farda kya

    saghar liye tu aae aur fikr-e-maal aae

    kuchh hosh nahin hum ko paiman-e-wafa kya tha

    hum subh-e-azal hi se sarmast-e-KHayal aae

    malum nahin 'shaariq' kyon chaak-gareban hain

    phulon se koi puchhe kya ho ke nihaal aae

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 69)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now