Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti

Jaleel Allahabadi

isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti

Jaleel Allahabadi

MORE BYJaleel Allahabadi

    isī baa.is to duniyā musībat ġham nahīñ hotī

    ye duniyā ġham to detī hai sharīk-e-ġham nahīñ hotī

    charāġhoñ meñ lahū insāniyat jagmagātā hai

    magar insāniyat chashm-e-kam pur-nam nahīñ hotī

    ḳhushī mahsūs kartā huuñ to duniyā saath detī hai

    musībat meñ magar āmāda-e-mātam nahīñ hotī

    ḳhushī sham.a to ai dost zad meñ aa bhī jaatī hai

    magar dāġh-e-jigar raushnī maddham nahīñ hotī

    salīqa chāhiye āvāz ko pahchān lene

    navā-e-shā.irī har dam navā-e-ġham nahīñ hotī

    'jalīl' un se bichhaḌ kar ik zamāna ho gayā lekin

    abhī tak mere ashkoñ ravānī kam nahīñ hotī

    isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti

    ye duniya gham to deti hai sharik-e-gham nahin hoti

    charaghon mein lahu insaniyat ka jagmagata hai

    magar insaniyat ki chashm-e-kam pur-nam nahin hoti

    KHushi mahsus karta hun to duniya sath deti hai

    musibat mein magar aamada-e-matam nahin hoti

    KHushi ki shama to ai dost zad mein aa bhi jati hai

    magar dagh-e-jigar ki raushni maddham nahin hoti

    saliqa chahiye aawaz ko pahchan lene ka

    nawa-e-shairi har dam nawa-e-gham nahin hoti

    'jalil' un se bichhaD kar ek zamana ho gaya lekin

    abhi tak mere ashkon ki rawani kam nahin hoti

    Source:

    Lahoo Rang (Pg. 65)

    • Author: Jaleel Allahabadi
      • Edition: 1970
      • Publisher: Jaleel Allahabadi Ganesh Peeth, Pune
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now