Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi ka nam hai diwana banna aur bana dena

Shaukat Thanvi

isi ka nam hai diwana banna aur bana dena

Shaukat Thanvi

MORE BYShaukat Thanvi

    isī naam hai dīvāna banñā aur banā denā

    butoñ ke sāmne kar ḳhudā vāsta denā

    nigāh-e-shauq baḌh kar naqāb-e-ruḳh uThā denā

    tire jalve barham ho ke ik bijlī girā denā

    ḳhudā.ī ḳhudā ḳhaak se insāñ banā denā

    tumhārā khel hai insāñ ko miTTī meñ milā denā

    maiñ apnī dāstān-e-dard-e-dil ro ro ke kahtā huuñ

    jahāñ se chāhnā tum sunte sunte muskurā denā

    mazāq-e-shikva achchhā hai magar ik shart ai dil

    yahāñ jo yaad kar lenā vahāñ kar bhulā denā

    vafā be-shak jafāoñ badal hai lekin ai zālim

    bahut mushkil hai mujh se rone vaale ko hañsā denā

    zabāñ ko shikva-sanjī mazā baat kahne do

    maiñ tum se ye nahīñ kahtā ki tum dād-e-vafā denā

    yahī ma.anī haiñ ai 'shaukat' buland-o-past ke shāyad

    nigāhoñ par chaḌhānā aur nazroñ se girā denā

    isi ka nam hai diwana banna aur bana dena

    buton ke samne ja kar KHuda ka wasta dena

    nigah-e-shauq ka baDh kar naqab-e-ruKH uTha dena

    tere jalwe ka barham ho ke ek bijli gira dena

    KHudai hi KHuda ki KHak se insan bana dena

    tumhaara khel hai insan ko miTTi mein mila dena

    main apni dastan-e-dard-e-dil ro ro ke kahta hun

    jahan se chahna tum sunte sunte muskura dena

    mazaq-e-shikwa achchha hai magar ek shart hi ai dil

    yahan jo yaad kar lena wahan ja kar bhula dena

    wafa be-shak jafaon ka badal hai lekin ai zalim

    bahut mushkil hai mujh se rone wale ko hansa dena

    zaban ko shikwa-sanji ka maza hi baat kahne do

    main tum se ye nahin kahta ki tum dad-e-wafa dena

    yahi mani hain ai 'shaukat' buland-o-past ke shayad

    nigahon par chaDhana aur nazron se gira dena

    Source:

    Gohristaan Shokat Thanvi (Pg. 24)

    • Author: Allama Siimab Siddiqui Akbarabadi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now