Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi liye to ujalon se dosti hui hai

Adnan Khalid

isi liye to ujalon se dosti hui hai

Adnan Khalid

MORE BYAdnan Khalid

    isī liye to ujāloñ se dostī huī hai

    ki tere aañkh jhapakne se raushnī huī hai

    zarūr ishq hiddat se ye namī huī hai

    ki ghaas aap ke chalne se reshmī huī hai

    hameñ yaqīn hai is baaġh ke nahīñ ho tum

    ki ham ne chiḌiyoñ ta.adād tak ginī huī hai

    usī haq hai ki dīvān us ke naam karūñ

    vo jis yaad meñ din raat shā.irī huī hai

    maiñ ek nuqte pe markūz ho gayā huuñ tabhī

    zamīn ghuum rahī thī par ab thamī huī hai

    vo ham-mizāj the lekin kabhī qarīb na the

    qarīb ho ga.e haiñ jab se dushmanī huī hai

    ye log yūñhī ġhizāoñ ko dosh dete haiñ

    hamāre ḳhuuñ meñ mohabbat bas kamī huī hai

    zarā der meñ dāman haal dekheñge

    abhī babūl ke kāñToñ se dostī huī hai

    tumhārī aañkh kājal bikhar gayā hai kahīñ

    tabhī to shaam achānak se surma.ī huī hai

    samajh chukā huuñ maiñ lahje silvaTeñ 'adnān'

    so jāntā huuñ mulāqāt āḳhrī huī hai

    isi liye to ujalon se dosti hui hai

    ki tere aankh jhapakne se raushni hui hai

    zarur ishq ki hiddat se ye nami hui hai

    ki ghas aap ke chalne se reshmi hui hai

    hamein yaqin hai is bagh ke nahin ho tum

    ki hum ne chiDiyon ki tadad tak gini hui hai

    usi ka haq hai ki diwan us ke nam karun

    wo jis ki yaad mein din raat shairi hui hai

    main ek nuqte pe markuz ho gaya hun tabhi

    zamin ghum rahi thi par ab thami hui hai

    wo ham-mizaj the lekin kabhi qarib na the

    qarib ho gae hain jab se dushmani hui hai

    ye log yunhi ghizaon ko dosh dete hain

    hamare KHun mein mohabbat ki bas kami hui hai

    zara si der mein daman ka haal dekhenge

    abhi babul ke kanTon se dosti hui hai

    tumhaari aankh ka kajal bikhar gaya hai kahin

    tabhi to sham achanak se surmai hui hai

    samajh chuka hun main lahje ki silwaTen 'adnan'

    so jaanta hun mulaqat aaKHri hui hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now