Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki

Mohammad Mubashshir Mayo

isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki

Mohammad Mubashshir Mayo

MORE BYMohammad Mubashshir Mayo

    isī liye tujhe detā huuñ daad nafrat

    ki ne ishq se pur-e'timād nafrat

    koī na dil se kisī ko nikāl kar pheñke

    kabhī na puurī ho maulā murād nafrat

    kabhī kabhī vo mujhe pyaar itnā detā thā

    kabhī kabhī bahut aatī thī yaad nafrat

    gulāb suukh ga.e haiñ hue haiñ ḳhaar hare

    havas ne pyaar meñ Daalī hai khaad nafrat

    ye dost barsar-e-paikār hone lag ga.e haiñ

    to vaj.h banñe lagī hai fasād nafrat

    us ek shaḳhs ko chāhūñgā tā-dam-e-āḳhir

    vo jis ne mujh se mohabbat ke ba.ad nafrat

    na koī tiir na sāzish na tohmateñ na hasad

    kisī ne mujh se baḌī be-svād nafrat

    ki us dard mohabbat ke dukh se thoḌā hai

    ye baat achchhī hai is nā-murād nafrat

    maiñ is liye bhī mohabbat se baaz aa gayā thā

    ki us ke shahr meñ miltī thī daad nafrat

    isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki

    ki tu ne ishq se pur-e'timad nafrat ki

    koi na dil se kisi ko nikal kar phenke

    kabhi na puri ho maula murad nafrat ki

    kabhi kabhi wo mujhe pyar itna deta tha

    kabhi kabhi bahut aati thi yaad nafrat ki

    gulab sukh gae hain hue hain KHar hare

    hawas ne pyar mein Dali hai khad nafrat ki

    ye dost barsar-e-paikar hone lag gae hain

    to wajh banne lagi hai fasad nafrat ki

    us ek shaKHs ko chahunga ta-dam-e-aKHir

    wo jis ne mujh se mohabbat ke baad nafrat ki

    na koi tir na sazish na tohmaten na hasad

    kisi ne mujh se baDi be-swad nafrat ki

    ki us ka dard mohabbat ke dukh se thoDa hai

    ye baat achchhi hai is na-murad nafrat ki

    main is liye bhi mohabbat se baz aa gaya tha

    ki us ke shahr mein milti thi dad nafrat ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now