Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi mein mast jawani hamari kheli thi

Shabab Lalit

isi mein mast jawani hamari kheli thi

Shabab Lalit

MORE BYShabab Lalit

    isī meñ mast javānī hamārī khelī thī

    jo ab khañDar hai vo naġhmāt havelī thī

    jis pe mehñdī se likhtī thī merā naam aksar

    yahī yahī vo tirī phuul hathelī thī

    huī ye mujh pe bhī maa.il to kyā ta.ajjub hai

    ki shā.irī mire mahbūb sahelī thī

    zamāna khel ajab us ke saath khel gayā

    vo bevafā jo mirī zindagī se khelī thī

    hamārā zarf kam paḌ gayā vagarna 'shabāb'

    mai-e-karam to un āñkhoñ ne kuchh uñDelī thī

    isi mein mast jawani hamari kheli thi

    jo ab khanDar hai wo naghmat ki haweli thi

    tu jis pe mehndi se likhti thi mera nam aksar

    yahi yahi wo teri phul si hatheli thi

    hui ye mujh pe bhi mail to kya tajjub hai

    ki shairi mere mahbub ki saheli thi

    zamana khel ajab us ke sath khel gaya

    wo bewafa jo meri zindagi se kheli thi

    hamara zarf hi kam paD gaya wagarna 'shabab'

    mai-e-karam to un aankhon ne kuchh unDeli thi

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 62)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now