Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna bhi ai KHuda mujhe mashhur tu na kar

Taruna Mishra

itna bhi ai KHuda mujhe mashhur tu na kar

Taruna Mishra

MORE BYTaruna Mishra

    itnā bhī ai ḳhudā mujhe mash.hūr na kar

    maiñ bhuul jā.ūñ tujh ko bhī maġhrūr na kar

    maiñ tujh se dūriyoñ talabgār huuñ magar

    ye iltijā bhī hai ki mujhe duur na kar

    vo raushnī kyā jo basārat ko chhīn le

    āñkhoñ ko ai ḳhudā mirī be-nūr na kar

    duniyā ke sāmne kabhī phailā.ūñ apne haath

    parvardigār itnā bhī majbūr na kar

    tālib rahūñ maiñ ilm tā-umr tā-hayāt

    dil meñ ye jo talab hai use duur na kar

    itna bhi ai KHuda mujhe mashhur tu na kar

    main bhul jaun tujh ko bhi maghrur tu na kar

    main tujh se duriyon ki talabgar hun magar

    ye iltija bhi hai ki mujhe dur tu na kar

    wo raushni hi kya jo basarat ko chhin le

    aankhon ko ai KHuda meri be-nur tu na kar

    duniya ke samne kabhi phailaun apne hath

    parwardigar itna bhi majbur tu na kar

    talib rahun main ilm ki ta-umr ta-hayat

    dil mein ye jo talab hai use dur tu na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now