Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna ehsas to de palne wale mujhko

Hosh Jaunpuri

itna ehsas to de palne wale mujhko

Hosh Jaunpuri

MORE BYHosh Jaunpuri

    itnā ehsās to de pālne vaale mujh ko

    maiñ sambhal jā.ūñ agar koī sambhāle mujh ko

    be-sahārā huuñ kisī vaqt bhī gir jā.ūñgā

    apnī dīvār meñ jo chāhe milā le mujh ko

    Dūbne se jo bachā.egā vo kyā pā.egā

    maiñ abhī laash nahīñ kaun nikāle mujh ko

    maiñ payambar to nahīñ thā ki amaañ jaatā

    kyā chhupāte bhī kahīñ makḌī ke jaale mujh ko

    maiñ bhī raushan huuñ magar sub.h ke taare tarah

    chand lamhoñ meñ Dubo deñge ujāle mujh ko

    kyā zarūrī hai ki dushman ke sar jaa.e azaab

    kar deñ ahbāb qātil ke havāle mujh ko

    tujh se hālāt ke patthar na sahe jā.eñge

    apne ehsās ā.īna banā le mujh ko

    itna ehsas to de palne wale mujh ko

    main sambhal jaun agar koi sambhaale mujh ko

    be-sahaara hun kisi waqt bhi gir jaunga

    apni diwar mein jo chahe mila le mujh ko

    Dubne se jo bachaega wo kya paega

    main abhi lash nahin kaun nikale mujh ko

    main payambar to nahin tha ki aman pa jata

    kya chhupate bhi kahin makDi ke jale mujh ko

    main bhi raushan hun magar subh ke tare ki tarah

    chand lamhon mein Dubo denge ujale mujh ko

    kya zaruri hai ki dushman hi ke sar jae azab

    kar den ahbab hi qatil ke hawale mujh ko

    tujh se haalat ke patthar na sahe jaenge

    apne ehsas ka aaina bana le mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now