Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna karam ki azm rahe hausla rahe

Yusuf Taqi

itna karam ki azm rahe hausla rahe

Yusuf Taqi

MORE BYYusuf Taqi

    itnā karam ki azm rahe hausla rahe

    is dil ke saath dard rishta sadā rahe

    apnī anā ke saath jiye kaj-adā rahe

    ab is kyā malāl ki be-dast-o-pā rahe

    ḳhud-sāḳhta ḳhudāoñ mujh ko nahīñ hai ḳhauf

    terī navāzishoñ bas ik silsila rahe

    ādāb-e-dostī se to vāqif kabhī na the

    tahzīb-e-dushmanī se bhī nā-āshnā rahe

    ye bhī hamāre daur ik alamiya hai

    rahne ko saath saath rahe par judā rahe

    itna karam ki azm rahe hausla rahe

    is dil ke sath dard ka rishta sada rahe

    apni ana ke sath jiye kaj-ada rahe

    ab is ka kya malal ki be-dast-o-pa rahe

    KHud-saKHta KHudaon ka mujh ko nahin hai KHauf

    teri nawazishon ka bas ek silsila rahe

    aadab-e-dosti se to waqif kabhi na the

    tahzib-e-dushmani se bhi na-ashna rahe

    ye bhi hamare daur ka ek alamiya hi hai

    rahne ko sath sath rahe par juda rahe

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Yusuf Taqi

    Yusuf Taqi

    Source:

    Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 24)

    • Author: Yousuf Taqi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Yousuf Taqi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now