Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna mohtat ki jumbish nahin karne dega

Ahmad Kamal Parwazi

itna mohtat ki jumbish nahin karne dega

Ahmad Kamal Parwazi

MORE BYAhmad Kamal Parwazi

    itnā mohtāt ki jumbish nahīñ karne degā

    umr-bhar ek guzārish nahīñ karne degā

    us se ummīd ye karte ho ki sūraj tavāf

    vo to mehvar pe bhī gardish nahīñ karne degā

    dil chāhegā to zanjīr ke TukḌe hoñge

    us se pahle koī koshish nahīñ karne degā

    paar karne ke liye aaj bhī dariyā bahāo

    aisā rakkhegā ki ḳhvāhish nahīñ karne degā

    ab bhī siine meñ kahāñ baaġh utarne vaalā

    paañv de jā.egā laġhzish nahīñ karne degā

    itna mohtat ki jumbish nahin karne dega

    umr-bhar ek guzarish nahin karne dega

    us se ummid ye karte ho ki suraj ka tawaf

    wo to mehwar pe bhi gardish nahin karne dega

    dil hi chahega to zanjir ke TukDe honge

    us se pahle koi koshish nahin karne dega

    par karne ke liye aaj bhi dariya ka bahao

    aisa rakkhega ki KHwahish nahin karne dega

    ab bhi sine mein kahan bagh utarne wala

    panw de jaega laghzish nahin karne dega

    Source:

    Chaa.ndii kaa varaq (Pg. 40)

    • Author: Ahmad Kamal Parvaazii
      • Publisher: Surkhawab Publications Ujjain
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now