Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna to zindagi pe mujhe iKHtiyar ho

Rahul Jha

itna to zindagi pe mujhe iKHtiyar ho

Rahul Jha

MORE BYRahul Jha

    itnā to zindagī pe mujhe iḳhtiyār ho

    apnā chaḌhāv zehn pe apnā utaar ho

    hai kaun jo vafā kare mujh se mire sivā

    so mujh ko ishq aap se baar baar ho

    tā-umr ḳhāmushī rahe ham-navā mirī

    tanhā.ī ke sivā na koī ġham-gusār ho

    is ke sivā kisī se mujhe kyā chāhiye

    hasrat pālkī koī dil kahār ho

    jo pahle aa.e haiñ vahī duniyā se jaa.eñ bhī

    miTne saarā kaam ye tartīb-vār ho

    shā.ir vo saarī umr akelā rahā bahut

    'bānī' ke ās-pās apnā mazār ho

    kah deñ ki husn itnī baḌī chiiz bhī nahīñ

    sar pe jo koī roz sadāqat savār ho

    khiḌkī se dekhte raheñ in parbatoñ husn

    Table pe kārvāñ baje lab pe cigar ho

    baaqī dukhoñ ke vāste bhī khol rakh kivāḌ

    'rāhul' na ek dard pe yuuñ inhisār ho

    itna to zindagi pe mujhe iKHtiyar ho

    apna chaDhaw zehn pe apna utar ho

    hai kaun jo wafa kare mujh se mere siwa

    so mujh ko ishq aap hi se bar bar ho

    ta-umr KHamushi hi rahe ham-nawa meri

    tanhai ke siwa na koi gham-gusar ho

    is ke siwa kisi se mujhe kya hi chahiye

    hasrat ki palki ka koi dil kahaar ho

    jo pahle aae hain wahi duniya se jaen bhi

    miTne ka sara kaam ye tartib-war ho

    shair wo sari umr akela raha bahut

    'bani' ke aas-pas hi apna mazar ho

    kah den ki husn itni baDi chiz bhi nahin

    sar pe jo koi roz sadaqat sawar ho

    khiDki se dekhte rahen in parbaton ka husn

    Table pe karwan baje lab pe cigar ho

    baqi dukhon ke waste bhi khol rakh kiwaD

    'rahul' na ek dard pe yun inhisar ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now