itne hasin chehre mile tum nahin mile
itne hasīn chehre mile tum nahīñ mile
kuchh to tumhāre jaise mile tum nahīñ mile
bārish fazā tumhārī pasandīda chaa.e bhī
milne ke sab ishāre mile tum nahīñ mile
duniyā to chāhtī hī yahī thī ki mat milo
sab se mile the mujh se mile tum nahīñ mile
mujh ko lagā maiñ ab bhī kahīñ ghar se duur huuñ
jab log mujh se aa ke mile tum nahīñ mile
itne hasin chehre mile tum nahin mile
kuchh to tumhaare jaise mile tum nahin mile
barish faza tumhaari pasandida chae bhi
milne ke sab ishaare mile tum nahin mile
duniya to chahti hi yahi thi ki mat milo
sab se mile the mujh se mile tum nahin mile
mujh ko laga main ab bhi kahin ghar se dur hun
jab log mujh se aa ke mile tum nahin mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.