itni jaldi na man jaya kar
itnī jaldī na maan jaayā kar
tū zarā baat ko baḌhāyā kar
abr hai to zarā baras mujh par
sā.ebāñ hai to sar pe saaya kar
sirf chāhat se kuchh nahīñ hotā
āsmāñ sar pe mat uThāyā kar
maanā duniyā ḳharāb hai lekin
mujh se mil kar tū muskurāyā kar
āñdhiyāñ āshiyāñ ujāḌeñgī
tū magar āshiyāñ banāyā kar
ġham ke māroñ kī aah lagtī hai
ġham ke māroñ ko mat satāyā kar
terī bāteñ 'ajīb hotī haiñ
mujh ko bātoñ meñ mat lagāyā kar
itni jaldi na man jaya kar
tu zara baat ko baDhaya kar
abr hai to zara baras mujh par
saeban hai to sar pe saya kar
sirf chahat se kuchh nahin hota
aasman sar pe mat uThaya kar
mana duniya KHarab hai lekin
mujh se mil kar tu muskuraya kar
aandhiyan aashiyan ujaDengi
tu magar aashiyan banaya kar
gham ke maron ki aah lagti hai
gham ke maron ko mat sataya kar
teri baaten 'ajib hoti hain
mujh ko baaton mein mat lagaya kar
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 62)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.