Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itni KHata hui ki hanse the kisi ke sath

Jalal Aarif

itni KHata hui ki hanse the kisi ke sath

Jalal Aarif

MORE BYJalal Aarif

    itnī ḳhatā huī ki hañse the kisī ke saath

    ab ro rahe haiñ baiTh ke ham zindagī ke saath

    rāhat ke saath dukh hai to aañsū hañsī ke saath

    gahrā hai kitnā ġham ta.alluq ḳhushī ke saath

    apnā chalan badalne lage vaqt tarah

    milte the jo har ik se baḌī sādgī ke saath

    saa.e saroñ pe maut ke mañDlāte haiñ magar

    ham phir bhī rahe haiñ ulū-himmatī ke saath

    kis ko tumhāre dard se dil-bastagī nahīñ

    raunaq hai anjuman isī raushnī ke saath

    shāyad vafā-shanās nazar qusūr hai

    'ārif' sulūk un jo hai be-ruḳhī ke saath

    itni KHata hui ki hanse the kisi ke sath

    ab ro rahe hain baiTh ke hum zindagi ke sath

    rahat ke sath dukh hai to aansu hansi ke sath

    gahra hai kitna gham ka talluq KHushi ke sath

    apna chalan badalne lage waqt ki tarah

    milte the jo har ek se baDi sadgi ke sath

    sae saron pe maut ke manDlate hain magar

    hum phir bhi ji rahe hain ulu-himmati ke sath

    kis ko tumhaare dard se dil-bastagi nahin

    raunaq hai anjuman ki isi raushni ke sath

    shayad wafa-shanas nazar ka qusur hai

    'arif' suluk un ka jo hai be-ruKHi ke sath

    Source:

    Shanakht (Pg. 151)

    • Author: Jalal Aarif
      • Publisher: Bazm-e-Arbab-e-Sukhan, Andhra Pradesh
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now