itni KHushiyan nahin milti hain tere aane par
itnī ḳhushiyāñ nahīñ miltī haiñ tire aane par
jitnā dukh hotā hai ai yaar tire jaane par
raat bhar āñkheñ mirī kartī haiñ ashkoñ se vuzū
kaun detā hai azaañ roz mire shāne par
is chaman-dān kī ġhairat pe baḌā zulm huā
titliyāñ rone lagīñ phuul bikhar jaane par
mujh se sab māñgte haiñ merī mohabbat kā subūt
tirī tasvīr lagā dī hai vuzū-ḳhāne par
lab-e-nāzuk se vo kar deñge du'ā kī ḳhairāt
laash rakh denā mirī yaar ke kāshāne par
tauq-o-zanjīr-o-salāsil se hameñ kyā Darnā
maut aa jā.egī jab vaqt ke aa jaane par
maqbara ḳhālī paḌā hai mirā murshid ke baġhair
ik sadī biit ga.ī ruuh ko dafnāne par
itni KHushiyan nahin milti hain tere aane par
jitna dukh hota hai ai yar tere jaane par
raat bhar aankhen meri karti hain ashkon se wuzu
kaun deta hai azan roz mere shane par
is chaman-dan ki ghairat pe baDa zulm hua
titliyan rone lagin phul bikhar jaane par
mujh se sab mangte hain meri mohabbat ka subut
teri taswir laga di hai wuzu-KHane par
lab-e-nazuk se wo kar denge du'a ki KHairaat
lash rakh dena meri yar ke kashane par
tauq-o-zanjir-o-salasil se hamein kya Darna
maut aa jaegi jab waqt ke aa jaane par
maqbara KHali paDa hai mera murshid ke baghair
ek sadi bit gai ruh ko dafnane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.