itnī muddat ba.ad mile ho kuchh to dil kā haal kaho
kaise biite ham bin pyāre itne māh-o-sāl kaho
ruup ko dhokā samjho nazar kā yā phir māyā-jāl kaho
priit ko dil kā rog samajh lo yā jī kā janjāl kaho
āñkhoñ dekhī kyā batlā.eñ haal ajab kuchh dekhā hai
dukh kī khetī kitnī harī aur sukh kā jaise kaal kaho
ek vafā ko le ke tumhārī saarī baazī khel ga.e
yāroñ ne to varna chalī thī kaisī kaisī chaal kaho
Thes lagī hai kaisī dil par ham se khiñche se rahte ho
āḳhir pyāre aayā kaise is shīshe meñ baal kaho
'sayyad' jī kyā biitī tum par kho.e kho.e rahte ho
kuchh to dil kī baat batāo kuchh apne ahvāl kaho
itni muddat baad mile ho kuchh to dil ka haal kaho
kaise bite hum bin pyare itne mah-o-sal kaho
rup ko dhoka samjho nazar ka ya phir maya-jal kaho
prit ko dil ka rog samajh lo ya ji ka janjal kaho
aankhon dekhi kya batlaen haal ajab kuchh dekha hai
dukh ki kheti kitni hari aur sukh ka jaise kal kaho
ek wafa ko le ke tumhaari sari bazi khel gae
yaron ne to warna chali thi kaisi kaisi chaal kaho
Thes lagi hai kaisi dil par hum se khinche se rahte ho
aaKHir pyare aaya kaise is shishe mein baal kaho
'sayyad' ji kya biti tum par khoe khoe rahte ho
kuchh to dil ki baat batao kuchh apne ahwal kaho
Videos
This video is playing from YouTube
Ghulam Ali
Source :
- Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 85)
- Author : Sayed Shakeel Desnavi
-
Publication : Adshot Publications,
(2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.