Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai

Paras Mazari

itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai

Paras Mazari

MORE BYParas Mazari

    itnī aañkh ne ġham kitnā uThā liyā hai

    kashtī ne apne andar dariyā uThā liyā hai

    us nī-vasl se ye tark-e-ta.alluq achchhā

    chāñdī ko rakh ke maiñ ne sonā uThā liyā hai

    ik to pagār jaise bachchoñ jeb-ḳharchī

    uupar se dostoñ ḳharcha uThā liyā hai

    ḳhushbū ke āshiqoñ ko taz.īn-e-bāġh se kyā

    jo phuul bhī zarā mahkā uThā liyā hai

    chubh jaa.e soī bhī to bhāgeñ mujhe dikhāne

    jaise ki maiñ ne sab Thekā uThā liyā hai

    naanī ne tark kar kyuuñ rasm-e-qissa-goī

    kyā chāñd se kisī ne charḳha uThā liyā hai

    itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai

    kashti ne apne andar dariya uTha liya hai

    us ni-wasl se ye tark-e-talluq achchha

    chandi ko rakh ke main ne sona uTha liya hai

    ek to pagar jaise bachchon ki jeb-KHarchi

    upar se doston ka KHarcha uTha liya hai

    KHushbu ke aashiqon ko tazin-e-bagh se kya

    jo phul bhi zara sa mahka uTha liya hai

    chubh jae soi bhi to bhagen mujhe dikhane

    jaise ki main ne sab ka Theka uTha liya hai

    nani ne tark kar di kyun rasm-e-qissa-goi

    kya chand se kisi ne charKHa uTha liya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now