Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itni tazim hui shahr mein uryani ki

Nomaan Shauque

itni tazim hui shahr mein uryani ki

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    itnī tāzīm huī shahr meñ uryānī

    raat āñkhoñ ne bhī bhar ke badan-ḳhvānī

    naap saktā hai koī sard havā tere sivā

    ye jo ḳhandaq hai mire chār-sū vīrānī

    dil ko māzūl kiyā ishq se ne lekin

    ḳhaak pe rah ke bhī sultān ne sultānī

    sab uḌāte haiñ mirī sard-dimāġhī mazāq

    yaanī duniyā ko zarūrat hai nigahbānī

    phuul kaun aise khilātā hai mire chāroñ taraf

    dhuup jin ko zarūrat na talab paanī

    dabdaba baḌhtā gayā shahr meñ ḳhush-hālī

    mil ga.ī daad mire dasht ko vīrānī

    itni tazim hui shahr mein uryani ki

    raat aankhon ne bhi ji bhar ke badan-KHwani ki

    nap sakta hai koi sard hawa tere siwa

    ye jo KHandaq hai mere chaar-su virani ki

    dil ko mazul kiya ishq se tu ne lekin

    KHak pe rah ke bhi sultan ne sultani ki

    sab uDate hain meri sard-dimaghi ka mazaq

    yani duniya ko zarurat hai nigahbani ki

    phul kaun aise khilata hai mere chaaron taraf

    dhup ki jin ko zarurat na talab pani ki

    dabdaba baDhta gaya shahr mein KHush-haali ka

    mil gai dad mere dasht ko virani ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    itni tazim hui shahr mein uryani ki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now