Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna

Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem

izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna

Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem

MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem

    iz.hār-e-jazba-e-dil-e-poshīda dekhnā

    ab phuul ḳhud haiñ ḳhaar ke girvīda dekhnā

    ahd-e-ravāñ jalva-e-shorīda dekhnā

    bedār jo hai fitna-e-ḳhvābīda dekhnā

    terī bisāt-e-jabr-o-tashaddud ulaT na jaa.e

    ab ke to ham bhī ho ga.e sanjīda dekhnā

    saa.e pe zindagī ke na kar is qadar ghamanD

    dīvār us kab se hai bosīda dekhnā

    tark-e-ta.alluqāt khul jā.egā bharam

    mahfil meñ yuuñ na phir mujhe duzdīda dekhnā

    ḳhud vaqt batā.egā vo din ḳhudā kare

    tujh ko bhī ghar aag meñ nam-dīda dekhnā

    hotā hai jo bhī ġham vo ubhartā hai kab yahāñ

    galiyāñ haiñ shahr-e-ishq pechīda dekhnā

    sahbā-e-ġham se shīsha-e-dil par na kyoñ rahe

    tasvīr us pe hai koī chaspīda dekhnā

    aatā hai intiqām bhī lenā magar 'kalīm'

    dil chāhtā nahīñ use ranjīda dekhnā

    izhaar-e-jazba-e-dil-e-poshida dekhna

    ab phul KHud hain KHar ke girwida dekhna

    ahd-e-rawan ka jalwa-e-shorida dekhna

    bedar jo hai fitna-e-KHwabida dekhna

    teri bisat-e-jabr-o-tashaddud ulaT na jae

    ab ke to hum bhi ho gae sanjida dekhna

    sae pe zindagi ke na kar is qadar ghamanD

    diwar us ki kab se hai bosida dekhna

    tark-e-talluqat ka khul jaega bharam

    mahfil mein yun na phir mujhe duzdida dekhna

    KHud waqt hi bataega wo din KHuda kare

    tujh ko bhi ghar ki aag mein nam-dida dekhna

    hota hai jo bhi gham wo ubharta hai kab yahan

    galiyan hain shahr-e-ishq ki pechida dekhna

    sahba-e-gham se shisha-e-dil par na kyon rahe

    taswir us pe hai koi chaspida dekhna

    aata hai intiqam bhi lena magar 'kalim'

    dil chahta nahin use ranjida dekhna

    Source:

    Jhonke Shameem-e-Sukhan Ke (Pg. 130)

    • Author: Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
      • Publisher: Owais Graphics Offset Printers, Hyderabad
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now