Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iztirab aisa hua dil ka sahaara mujhko

Arshad Jamal Sarim

iztirab aisa hua dil ka sahaara mujhko

Arshad Jamal Sarim

MORE BYArshad Jamal Sarim

    iztirāb aisā huā dil sahārā mujh ko

    koī Thahrāv nahīñ ḳhud meñ gavārā mujh ko

    sar uThātī hai vo tajdīd ḳhvāhish mujh meñ

    naqsh-gar sochne lagtā hai dobāra mujh ko

    maiñ tahī-dast khaḌā thā sar-e-sahrā-e-hayāt

    aarzū ne tirī yak-laḳht pukārā mujh ko

    pahuñchnā kisī rif.at ko nahīñ hai dushvār

    haañ! Thaharne vahāñ chāhiye yaarā mujh ko

    dekh ai merī zabūñ-hālī pe hañsne vaale

    vaqt dhuup ne kis darja nikhārā mujh ko

    ek kankar mozāhim meñ rahūñgā kab tak

    le jā.egā bahā kar koī dhārā mujh ko

    vaqt ne jaane banānā hai mujhe kyā 'sārim'

    gardish-e-chāk se ab tak na utārā mujh ko

    iztirab aisa hua dil ka sahaara mujh ko

    koi Thahraw nahin KHud mein gawara mujh ko

    sar uThati hai wo tajdid ki KHwahish mujh mein

    naqsh-gar sochne lagta hai dobara mujh ko

    main tahi-dast khaDa tha sar-e-sahra-e-hayat

    aarzu ne teri yak-laKHt pukara mujh ko

    ja pahunchna kisi rifat ko nahin hai dushwar

    han! Thaharne ka wahan chahiye yara mujh ko

    dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale

    waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko

    ek kankar sa mozahim mein rahunga kab tak

    le hi jaega baha kar koi dhaara mujh ko

    waqt ne jaane banana hai mujhe kya 'sarim'

    gardish-e-chaak se ab tak na utara mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now