Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ja-ba-ja shor machati hai meri wahshat hi

Nisar Ahmad Nisar

ja-ba-ja shor machati hai meri wahshat hi

Nisar Ahmad Nisar

MORE BYNisar Ahmad Nisar

    jā-ba-jā shor machātī hai mirī vahshat

    pā-ba-jaulāñ mujhe rakhtī hai mirī vahshat

    bādiya-sabz rahe ki havā-e-sarsar

    is ḳharābe meñ to rahtī hai mirī vahshat

    har-nafas ḳhāma to hai sa.ī-e-raqam meñ masrūf

    sar ko āshufta na rakhtī hai mirī vahshat

    ghar pe rahte hue bhī ghar meñ kahāñ rahtā huuñ

    koī aatā hai to miltī hai mirī vahshat

    laakh ye qarya-e-shab naġhma-sarā ho phir bhī

    har taraf gūñjtī rahtī hai mirī vahshat

    kal sar-e-arz-e-dilāñ bād-e-amāñ chaltī thī

    ab idhar ḳhaak uḌātī hai mirī vahshat

    ja-ba-ja shor machati hai meri wahshat hi

    pa-ba-jaulan mujhe rakhti hai meri wahshat hi

    baadiya-sabz rahe ya ki hawa-e-sarsar

    is KHarabe mein to rahti hai meri wahshat hi

    har-nafas KHama to hai sai-e-raqam mein masruf

    sar ko aashufta na rakhti hai meri wahshat hi

    ghar pe rahte hue bhi ghar mein kahan rahta hun

    koi aata hai to milti hai meri wahshat hi

    lakh ye qarya-e-shab naghma-sara ho phir bhi

    har taraf gunjti rahti hai meri wahshat hi

    kal sar-e-arz-e-dilan baad-e-aman chalti thi

    ab idhar KHak uDati hai meri wahshat hi

    Source:

    Bihar Mein Jadeed Ghazal (Pg. 132)

      • Publisher: Ataullah Khan Alwi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now