Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ja rahe the log mujhko chhoD kar jaane diye

Kamal Kataria Karan

ja rahe the log mujhko chhoD kar jaane diye

Kamal Kataria Karan

MORE BYKamal Kataria Karan

    rahe the log mujh ko chhoḌ kar jaane diye

    phir mirī ḳhalvat ne mujh ko umr-bhar ta.ane diye

    luT ga.ī apnī matā-e-jāñ to andāza huā

    ḳhud hamīñ ne haq unheñ sab jaane anjāne diye

    khaad paanī de sakeñ kab vaqt duniyā ne diyā

    al-ġharaz gul ḳhvāhishoñ ke ham ne murjhāne diye

    lutf miltā thā kabhī jab haath rakhtī thī havā

    zaḳhm sahlātī rahī vo ham ne sahlāne diye

    dil gañvāyā niiñd khoī kho diyā chain-o-qarār

    ik ḳhatā-e-ishq aur kitne jurmāne diye

    maut āġhosh meñ niiñd aa.ī pur-sukūñ

    ishq ne kab hameñ bāhoñ ke sirhāne diye

    vaah saaqī kyā nibhā.ī rasm-e-ahl-e-mai-kada

    sab ko nazroñ ke hameñ shīshe ke paimāne diye

    gar maiñ ro paḌtā to mere sabr tauhīn thī

    zabt ne hargiz na mujh ko ashk chhalkāne diye

    muflisī meñ bhī rahā jazboñ pe apne iḳhtiyār

    kab mirī ġhairat ne mujh ko haath phailāne diye

    karb tanhā.ī udāsī zaḳhm aañsū iztirāb

    ai 'karan' ham ko mohabbat ne ye nazrāne diye

    ja rahe the log mujh ko chhoD kar jaane diye

    phir meri KHalwat ne mujh ko umr-bhar tane diye

    luT gai apni mata-e-jaan to andaza hua

    KHud hamin ne haq unhen sab jaane anjaane diye

    khad pani de saken kab waqt duniya ne diya

    al-gharaz gul KHwahishon ke hum ne murjhane diye

    lutf milta tha kabhi jab hath rakhti thi hawa

    zaKHm sahlati rahi wo hum ne sahlane diye

    dil ganwaya nind khoi kho diya chain-o-qarar

    ek KHata-e-ishq ki aur kitne jurmane diye

    maut ki aaghosh mein hi nind aai pur-sukun

    ishq tu ne kab hamein bahon ke sirhane diye

    wah saqi kya nibhai rasm-e-ahl-e-mai-kada

    sab ko nazron ke hamein shishe ke paimane diye

    gar main ro paDta to mere sabr ki tauhin thi

    zabt ne hargiz na mujh ko ashk chhalkane diye

    muflisi mein bhi raha jazbon pe apne iKHtiyar

    kab meri ghairat ne mujh ko hath phailane diye

    karb tanhai udasi zaKHm aansu iztirab

    ai 'karan' hum ko mohabbat ne ye nazrane diye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now