Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jada-e-rasti hi kafi hai

Hafeez Shahid

jada-e-rasti hi kafi hai

Hafeez Shahid

MORE BYHafeez Shahid

    jāda-e-rāstī kaafī hai

    mujh ko ye raushnī kaafī hai

    is jahāñ meñ guzārne ke liye

    muḳhtasar zindagī kaafī hai

    tujh ko farzāngī mubārak ho

    mujh ko dīvāngī kaafī hai

    kyā zarūrat hai dushmanoñ mujhe

    aap dostī kaafī hai

    kyā karūñgā maiñ sīm-o-zar le kar

    daulat-e-be-ḳhudī kaafī hai

    dil ke āñgan meñ raushnī ke liye

    fikr tāzgī kaafī hai

    is chaman meñ ḳhizāñ-nasīboñ ko

    ik kalī adh-khilī kaafī hai

    lashkar-e-ġham se jītne ke liye

    chand-roza ḳhushī kaafī hai

    aarzū ke nihāl ko 'shāhid'

    āñsuoñ namī kaafī hai

    jada-e-rasti hi kafi hai

    mujh ko ye raushni hi kafi hai

    is jahan mein guzarne ke liye

    muKHtasar zindagi hi kafi hai

    tujh ko farzangi mubarak ho

    mujh ko diwangi hi kafi hai

    kya zarurat hai dushmanon ki mujhe

    aap ki dosti hi kafi hai

    kya karunga main sim-o-zar le kar

    daulat-e-be-KHudi hi kafi hai

    dil ke aangan mein raushni ke liye

    fikr ki tazgi hi kafi hai

    is chaman mein KHizan-nasibon ko

    ek kali adh-khili hi kafi hai

    lashkar-e-gham se jitne ke liye

    chand-roza KHushi hi kafi hai

    aarzu ke nihaal ko 'shahid'

    aansuon ki nami hi kafi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now