Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jae aashiq ki bala hashr mein kya rakkha hai

Waseem Khairabadi

jae aashiq ki bala hashr mein kya rakkha hai

Waseem Khairabadi

MORE BYWaseem Khairabadi

    jaa.e āshiq balā hashr meñ kyā rakkhā hai

    ek fitna tirī Thokar uThā rakkhā hai

    lutf-e-kaunain hai is meñ mirī botal piyo

    zāhido chashma-e-tasnīm meñ kyā rakkhā hai

    mil jaatā hai koī chheḌne vaalā mujh ko

    tum alag ho to mujhe dil ne satā rakkhā hai

    kal vo fitna bhī qayāmat meñ qayāmat hogā

    jis ko aaj aap ne qadmoñ se lagā rakkhā hai

    aa.e mayyat pe kis andāz se farmāte haiñ

    dam mire chheḌne ko us ne churā rakkhā hai

    dil uḌe jaate haiñ har fitna-e-āvāz ke saath

    baiTh kar pardoñ meñ ik hashr uThā rakkhā hai

    ḳhush rahoge jo piyo baada faqīrī meñ 'vasīm'

    mujh ko ik mast ne ye bhed batā rakkhā hai

    jae aashiq ki bala hashr mein kya rakkha hai

    ek fitna teri Thokar ka uTha rakkha hai

    lutf-e-kaunain hai is mein meri botal ki piyo

    zahido chashma-e-tasnim mein kya rakkha hai

    mil hi jata hai koi chheDne wala mujh ko

    tum alag ho to mujhe dil ne sata rakkha hai

    kal wo fitna bhi qayamat mein qayamat hoga

    jis ko aaj aap ne qadmon se laga rakkha hai

    aae mayyat pe kis andaz se farmate hain

    dam mere chheDne ko us ne chura rakkha hai

    dil uDe jate hain har fitna-e-awaz ke sath

    baiTh kar pardon mein ek hashr uTha rakkha hai

    KHush rahoge jo piyo baada faqiri mein 'wasim'

    mujh ko ek mast ne ye bhed bata rakkha hai

    Source :
    • Book : Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 229)
    • Author : Waseem Khairabadi
    • Publication : Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai Khairabad sitapur (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now