Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaeza len hum agar kya hai hamari zindagi

Aks Firozpuri

jaeza len hum agar kya hai hamari zindagi

Aks Firozpuri

MORE BYAks Firozpuri

    jā.eza leñ ham agar kyā hai hamārī zindagī

    ek unvān hogā ishtihārī zindagī

    jab chalī koī havā uḌte ga.e ham duur tak

    ḳhushk pattoñ tarah ham ne guzārī zindagī

    chāñd ko bāñhoñ meñ bharne faqat hasrat liye

    duur se dekhā kiye logoñ pyārī zindagī

    kis qadar be-kār hai kaalā dhuāñ uḌtā huā

    yuuñ samajh lo ham ne bhī yūñhī guzārī zindagī

    ham rahe sahrā meñ jalte āsmāñ ke paas 'aks'

    raakh kar hai jalā kar ham ne saarī zindagī

    jaeza len hum agar kya hai hamari zindagi

    ek hi unwan hoga ishtihaari zindagi

    jab chali koi hawa uDte gae hum dur tak

    KHushk patton ki tarah hum ne guzari zindagi

    chand ko banhon mein bharne ki faqat hasrat liye

    dur se dekha kiye logon ki pyari zindagi

    kis qadar be-kar hai kala dhuan uDta hua

    yun samajh lo hum ne bhi yunhi guzari zindagi

    hum rahe sahra mein jalte aasman ke pas 'aks'

    rakh kar li hai jala kar hum ne sari zindagi

    Source:

    Tahreek Jild 28 Shumara 12 March 1981-Svk (Pg. 37)

      • Publisher: Gopal Mittal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now