Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jagte din ki gali mein raat aankhen mal rahi hai

Sidra Sahar Imran

jagte din ki gali mein raat aankhen mal rahi hai

Sidra Sahar Imran

MORE BYSidra Sahar Imran

    jāgte din galī meñ raat āñkheñ mal rahī hai

    vaqt guzrā rahā hai dhuup chhat se Tal rahī hai

    ik libās-e-fāḳhira hai surḳh ġharqābī mahal hai

    kuchh purānī ho ga.ī hai par kahānī chal rahī hai

    ik sitāra saaz āñkhoñ ke kināre bas rahā hai

    ik mohabbat naam laḌkī badan meñ pal rahī hai

    paas thā khoyā nahīñ hai jo na thā ab bhī nahīñ hai

    umr bhar phir kyuuñ tabī.at muztarib be-kal rahī hai

    aanā jaanā saañs kyā vasl se mashrūt hai

    chale to tham rahī hai ruke to chal rahī hai

    zard-rū vahshat-zada bhaTkī huī vīrān

    zindagī ik shaam hai aur shaam ban meñ Dhal rahī hai

    jagte din ki gali mein raat aankhen mal rahi hai

    waqt guzra ja raha hai dhup chhat se Tal rahi hai

    ek libas-e-faKHira hai surKH gharqabi mahal hai

    kuchh purani ho gai hai par kahani chal rahi hai

    ek sitara saz aankhon ke kinare bas raha hai

    ek mohabbat nam ki laDki badan mein pal rahi hai

    pas tha khoya nahin hai jo na tha ab bhi nahin hai

    umr bhar phir kyun tabiat muztarib be-kal rahi hai

    aana jaana sans ka kya wasl se mashrut hai

    tu chale to tham rahi hai tu ruke to chal rahi hai

    zard-ru wahshat-zada bhaTki hui viran si

    zindagi ek sham hai aur sham ban mein Dhal rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now