Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jagte rahna hai ab KHwab ki tabir talak

Dilshad Naseem

jagte rahna hai ab KHwab ki tabir talak

Dilshad Naseem

MORE BYDilshad Naseem

    jāgte rahnā hai ab ḳhvāb ta.abīr talak

    dard sahnā hai ye tiryāk tāsīr talak

    is meñ saaya koī ban jaa.e to aa jaanā tum

    ham yahīñ baiTheñge dīvār ta.amīr talak

    aap ke saath bas ik shaam bitāne ke liye

    daav pe dil lagā Daalī hai jāgīr talak

    āsmāñ par jo sitāroñ thī mahfil is meñ

    ham ne dekhī thī numāyāñ tirī tasvīr talak

    aaj 'dilshād' ne phir ek ġhazal likh Daalī

    silsila jā.egā 'ġhālib' se kabhī 'mīr' talak

    jagte rahna hai ab KHwab ki tabir talak

    dard sahna hai ye tiryak ki tasir talak

    is mein saya koi ban jae to aa jaana tum

    hum yahin baiThenge diwar ki tamir talak

    aap ke sath bas ek sham bitane ke liye

    daw pe dil ki laga Dali hai jagir talak

    aasman par jo sitaron ki thi mahfil is mein

    hum ne dekhi thi numayan teri taswir talak

    aaj 'dilshad' ne phir ek ghazal likh Dali

    silsila jaega 'ghaalib' se kabhi 'mir' talak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now