Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jagti aankhon ko KHwabon ki saza de jaega

Javed Akram Farooqi

jagti aankhon ko KHwabon ki saza de jaega

Javed Akram Farooqi

MORE BYJaved Akram Farooqi

    jāgtī āñkhoñ ko ḳhvāboñ sazā de jā.egā

    phir purānā dost koī dukh nayā de jā.egā

    jaane kab TūTegā ye lafz o ma'ānī tilism

    jaane kab vo gūñge lafzoñ ko sadā de jā.egā

    būḌhī āñkhoñ ne sajāyā hai javāñ beTe ḳhvāb

    kāñpte hāthoñ meñ ik ḳhat Dākiyā de jā.egā

    raat din lipTā hai pairoñ se mire andhā safar

    ajnabī ehsās manzil patā de jā.egā

    muskurātī zindagī ke ḳhuun pyāsā uqaab

    vaqt ke hāthoñ meñ zaḳhmī fāḳhta de jā.egā

    jhuuT is se pahle to bachchoñ ke hoñToñ par na thā

    bhuuk aaseb un ko aur kyā de jā.egā

    raat ke āñgan meñ sūraj ke musāfir qayām

    phuul se jismoñ ko zaḳhmoñ qabā de jā.egā

    mere munsif faisla terā sar-e-taslīm ḳham

    jo bhī kuchh hogā muqaddar likhā de jā.egā

    phir dulhan banñe se pahle muflisī beva huī

    phir amīr-e-shahr ḳhvāboñ ko chitā de jā.egā

    jagti aankhon ko KHwabon ki saza de jaega

    phir purana dost koi dukh naya de jaega

    jaane kab TuTega ye lafz o ma'ani ka tilism

    jaane kab wo gunge lafzon ko sada de jaega

    buDhi aankhon ne sajaya hai jawan beTe ka KHwab

    kanpte hathon mein ek KHat Dakiya de jaega

    raat din lipTa hai pairon se mere andha safar

    ajnabi ehsas manzil ka pata de jaega

    muskuraati zindagi ke KHun ka pyasa uqab

    waqt ke hathon mein zaKHmi faKHta de jaega

    jhuT is se pahle to bachchon ke honTon par na tha

    bhuk ka aaseb un ko aur kya de jaega

    raat ke aangan mein suraj ke musafir ka qayam

    phul se jismon ko zaKHmon ki qaba de jaega

    mere munsif faisla tera sar-e-taslim KHam

    jo bhi kuchh hoga muqaddar ka likha de jaega

    phir dulhan banne se pahle muflisi bewa hui

    phir amir-e-shahr KHwabon ko chita de jaega

    Source:

    karb-e-anaa (Pg. 117)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now