Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya

Nushur Wahidi

jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    jāñ-bāzoñ ke lab par bhī ab aish naam aayā

    jis haath meñ tesha thā us haath meñ jaam aayā

    ik taaza taġhayyur hai tahzīb duniyā meñ

    husn-e-haqīqī ko andāz-e-ḳhirām aayā

    rāhat tasavvur baaqī na rahā shāyad

    hoñToñ pe takalluf se ārām naam aayā

    kuchh soch ke ik rāh-e-pur-ḳhār se guzrā thā

    kāñTe bhī na raas aa.e dāman bhī na kaam aayā

    saaqī ye harīfoñ ko pahchān ke denā kyā

    jab bazm se ham nikle tab daur meñ jaam aayā

    is tīra-nasībī meñ kirnoñ sahārā kyā

    sūraj taraf dekhā vo bhī lab-e-bām aayā

    ye rāz-o-niyāz-e-ġham kuchh vo bhī samajhte haiñ

    jab choT paḌī dil par palkoñ ko salām aayā

    ġham aur ḳhushī donoñ har roz ke mehmāñ haiñ

    ye sub.h-ba-sub.h aa.ī vo shām-ba-shām aayā

    pheñke hue shīshoñ se dil kitne banā.e haiñ

    jab jaam koī TuuTā dīvānoñ ke kaam aayā

    kānoñ meñ kuchh aatī hai āvāz phaḌakne

    phir koī nayā taa.ir shāyad tah-e-dām aayā

    ash.ār-e-'nushūr' aksar un bhī zabāñ par haiñ

    chup rah na sakā koī jab vaqt-e-kalām aayā

    jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya

    jis hath mein tesha tha us hath mein jam aaya

    ek taza taghayyur hai tahzib ki duniya mein

    ya husn-e-haqiqi ko andaz-e-KHiram aaya

    rahat ka tasawwur hi baqi na raha shayad

    honTon pe takalluf se aaram ka nam aaya

    kuchh soch ke ek rah-e-pur-KHar se guzra tha

    kanTe bhi na ras aae daman bhi na kaam aaya

    saqi ye harifon ko pahchan ke dena kya

    jab bazm se hum nikle tab daur mein jam aaya

    is tira-nasibi mein kirnon ka sahaara kya

    suraj ki taraf dekha wo bhi lab-e-baam aaya

    ye raaz-o-niyaz-e-gham kuchh wo bhi samajhte hain

    jab choT paDi dil par palkon ko salam aaya

    gham aur KHushi donon har roz ke mehman hain

    ye subh-ba-subh aai wo sham-ba-sham aaya

    phenke hue shishon se dil kitne banae hain

    jab jam koi TuTa diwanon ke kaam aaya

    kanon mein kuchh aati hai aawaz phaDakne ki

    phir koi naya tair shayad tah-e-dam aaya

    ashaar-e-'nushur' aksar un ki bhi zaban par hain

    chup rah na saka koi jab waqt-e-kalam aaya

    Source:

    Sawad-e-manzil (Pg. 225)

    • Author: Nushoor Wahedi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd, Delhi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now