jaan ganwaun ki sar bacha lun main
jaañ gañvā.ūñ ki sar bachā luuñ maiñ
koī talvār to uThā luuñ maiñ
tum ne furqat kī shab guzārī hai
kyoñ na vahshat kā din manā luuñ maiñ
ho ijāzat to bazm-e-girya meñ
ġham hañsūñ dard gungunā luuñ maiñ
ek sūrat mujhe banānī hai
ek sūrat agar miTā luuñ maiñ
bhuuk le aa.egī parindoñ ko
pheñk duuñ jaal yā uThā luuñ maiñ
ek āvāz hī lagānī hai
ek āvāz phir lagā luuñ maiñ
raat bezār hai to kyoñ na 'zamān'
dil jalā luuñ diyā bujhā luuñ maiñ
jaan ganwaun ki sar bacha lun main
koi talwar to uTha lun main
tum ne furqat ki shab guzari hai
kyon na wahshat ka din mana lun main
ho ijazat to bazm-e-girya mein
gham hansun dard gunguna lun main
ek surat mujhe banani hai
ek surat agar miTa lun main
bhuk le aaegi parindon ko
phenk dun jal ya uTha lun main
ek aawaz hi lagani hai
ek aawaz phir laga lun main
raat bezar hai to kyon na 'zaman'
dil jala lun diya bujha lun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.