Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan ise chalane mein ahrman ki khapti hai

Umang Bali

jaan ise chalane mein ahrman ki khapti hai

Umang Bali

MORE BYUmang Bali

    jaan ise chalāne meñ ahrman khaptī hai

    rāt-din magar duniyā naam terā japtī hai

    raushnī ke jalve haiñ phalte phūlte jañgal

    jin chhattr-chhāyā meñ tīrgī panaptī hai

    guuñj yahāñ shab-bhar tum jo roz sunte ho

    dasht panāhoñ meñ ḳhāmushī taḌaptī hai

    kyā kahā kaho to phir dhyān husn sīrat

    ai miyāñ mirī maano chhāp lo jo chhaptī hai

    nā-gahāñ magar is meñ phuul kyuuñ nahīñ khilte

    reg-zār mānind ḳhāk-e-dil bhī taptī hai

    husn utar ke aatā hai yuuñ 'umañg' āñkhoñ meñ

    jhiil jis tarah gahrī raushnī haḌaptī hai

    jaan ise chalane mein ahrman ki khapti hai

    raat-din magar duniya nam tera japti hai

    raushni ke jalwe hain phalte phulte jangal

    jin ki chhattr-chhaya mein tirgi panapti hai

    gunj si yahan shab-bhar tum jo roz sunte ho

    dasht ki panahon mein KHamushi taDapti hai

    kya kaha kaho to phir dhyan husn sirat ka

    ai miyan meri mano chhap lo jo chhapti hai

    na-gahan magar is mein phul kyun nahin khilte

    reg-zar ki manind KHak-e-dil bhi tapti hai

    husn utar ke aata hai yun 'umang' aankhon mein

    jhil jis tarah gahri raushni haDapti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now