Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke

Nawab Nazeer Al-Daula

jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke

Nawab Nazeer Al-Daula

MORE BYNawab Nazeer Al-Daula

    jaan lab par aa ga.ī furqat meñ bas ghabrā chuke

    ab vo aa.eñ na aa.eñ ham to se chuke

    nāz-o-andāz-o-adā ko kaam tum farmā chuke

    khol kar band ab lipaT jaao bahut sharmā chuke

    us ke aane na Thahrī sau tarah ġham khā chuke

    jaan hai jaa.e kahīñ qissa miTe jhagḌā chuke

    intizār un abas ai dil hai bas vo aa chuke

    ḳhat jo bheje the javāb-e-sāf qāsid chuke

    khīñch kar aaheñ munaġhġhas us ko kar detā hai

    yaar ko sad baar ai dil ham manā kar chuke

    phaaḌ kar kapḌe chale sahrā ko ham vahshat-zada

    nik.hat-e-gul tarah ham phir ke ghar ko aa chuke

    jab na ik bosa do tum aur na ik dushnām do

    dil tumheñ kyūñkar mile aur is qīmat kyā chuke

    mujh ko ta.ana aur mah-rūyoñ se milne diyā

    maiñ bhī ab kuchh arz kar luuñ aap to farmā chuke

    thā hijāb-e-ishq maane varna shab ko vasl meñ

    haath un paañv talak sau baar ham pahuñchā chuke

    dam ulaTtā hai mirā ruḳh se ulaT diije naqāb

    be-hijābī se tasallī kījiye sharmā chuke

    apne is dīvāna-pan se dil na baaz aaya kabhī

    qaid zindāñ meñ rakhā zanjīr tak pahnā chuke

    juuñ qafas sad-chāk dil hai hasrat-e-parvāz se

    murġh-e-gul shāḳh-e-gul se ham qafas laTkā chuke

    vasl shab hai kaf-e-pā apne sahlāne to do

    hijr meñ ham se kaf-e-afsos to malvā chuke

    haa.e us gul ne na is dil chāhat par nazar

    zaḳhm khaa.e tan pe lākhoñ saikḌoñ gul khā chuke

    nā-tavānī bahāna gah kiyā gah maut

    un ke rah jaane ko ham to svāñg lākhoñ chuke

    us ne par rahne na ham ko vaañ diyā kyā kījiye

    paañv kis kis tarah us ke dar pe ham phailā chuke

    said-e-ma.anī koī 'daula' apne haath aatā nahīñ

    tausan-e-fikr apnā is maidāñ meñ ham dauḌā chuke

    jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke

    ab wo aaen ya na aaen hum to ji se ja chuke

    naz-o-andaz-o-ada ko kaam tum farma chuke

    khol kar band ab lipaT jao bahut sharma chuke

    us ke aane ki na Thahri sau tarah gham kha chuke

    jaan hai jae kahin qissa miTe jhagDa chuke

    intizar un ka abas ai dil hai bas wo aa chuke

    KHat jo bheje the jawab-e-saf qasid la chuke

    khinch kar aahen munaghghas us ko kar deta hai tu

    yar ko sad bar ai dil hum mana kar la chuke

    phaD kar kapDe chale sahra ko hum wahshat-zada

    nikhat-e-gul ki tarah hum phir ke ghar ko aa chuke

    jab na ek bosa hi do tum aur na ek dushnam do

    dil tumhein kyunkar mile aur is ki qimat kya chuke

    mujh ko tana aur mah-ruyon se milne ka diya

    main bhi ab kuchh arz kar lun aap to farma chuke

    tha hijab-e-ishq mane warna shab ko wasl mein

    hath un panw talak sau bar hum pahuncha chuke

    dam ulaTta hai mera ruKH se ulaT dije naqab

    be-hijabi se tasalli kijiye sharma chuke

    apne is diwana-pan se dil na baz aaya kabhi

    qaid zindan mein rakha zanjir tak pahna chuke

    jun qafas sad-chaak dil hai hasrat-e-parwaz se

    murgh-e-gul ka shaKH-e-gul se hum qafas laTka chuke

    wasl ki shab hai kaf-e-pa apne sahlane to do

    hijr mein hum se kaf-e-afsos to malwa chuke

    hae us gul ne na ki is dil ki chahat par nazar

    zaKHm khae tan pe lakhon saikDon gul kha chuke

    na-tawani ka bahana gah kiya gah maut ka

    un ke rah jaane ko hum to swang lakhon la chuke

    us ne par rahne na hum ko wan diya kya kijiye

    panw kis kis tarah us ke dar pe hum phaila chuke

    said-e-mani koi 'daula' apne hath aata nahin

    tausan-e-fikr apna is maidan mein hum dauDa chuke

    Source:

    (Pg. 45)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now