Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-o-dil sunsan hain ujDe qabilon ki tarah

Rehman Musawwir

jaan-o-dil sunsan hain ujDe qabilon ki tarah

Rehman Musawwir

MORE BYRehman Musawwir

    jān-o-dil sunsān haiñ ujḌe qabīloñ tarah

    ḳhvāhisheñ ḳhāmosh haiñ bebas fasīloñ tarah

    yuuñ kiyā bas saañs lene bhar fursat hameñ

    us ne ham par masīhā.ī baḳhīloñ tarah

    jis tarah chāhā hameñ upyog meñ laayā gayā

    ham rahe dīvār meñ paivast kīloñ tarah

    umr bhar karte rahe ham āsmānoñ safar

    manzileñ chipkī rahīñ qadmoñ se mīloñ tarah

    ik zarā gandh kyā paa.ī ki manDrāne lagīñ

    kuchh tamannā.eñ haiñ murda-ḳhor chīloñ tarah

    vo zamāna aur thā har baat par kahte the

    ab jirah karne lage bachche vakīloñ tarah

    jaan-o-dil sunsan hain ujDe qabilon ki tarah

    KHwahishen KHamosh hain bebas fasilon ki tarah

    yun kiya bas sans lene bhar ki fursat di hamein

    us ne ki hum par masihai baKHilon ki tarah

    jis tarah chaha hamein upyog mein laya gaya

    hum rahe diwar mein paiwast kilon ki tarah

    umr bhar karte rahe hum aasmanon ka safar

    manzilen chipki rahin qadmon se milon ki tarah

    ek zara si gandh kya pai ki manDrane lagin

    kuchh tamannaen hain murda-KHor chilon ki tarah

    wo zamana aur tha har baat par kahte the ji

    ab jirah karne lage bachche wakilon ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now