Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-o-dil tujh pe luTane ko ye tayyar bhi hai

Mukhtar Tonki

jaan-o-dil tujh pe luTane ko ye tayyar bhi hai

Mukhtar Tonki

MORE BYMukhtar Tonki

    jān-o-dil tujh pe luTāne ko ye tayyār bhī hai

    ishq ḳhud.dār sahī ishq vafādār bhī hai

    ye to taslīm ki duniyā hai jahannum lekin

    is ko firdaus bhī kahiye ki yahāñ pyaar bhī hai

    yūsuf-e-vaqt chaltā nahīñ kyoñ aaj pata

    hai zuleḳhā bhī yahāñ misr bāzār bhī hai

    vaqt bahtā huā dariyā hai bahut tez-ḳhirām

    mere hāthoñ meñ magar vaqt raftār bhī hai

    chuum leñ shauq se ham chehra-e-lailā-e-hayāt

    rū-e-gulnār bhī hai chashm-e-fusūñ-kār bhī hai

    sāmne aañkh ke ik bhiiḌ hai insānoñ

    saare majma.a meñ koī sāhib-e-kirdār bhī hai

    sharm-e-isyāñ bhī hai aur ḳhauf-e-sazā bhī dil meñ

    sāf-bātin hai vahī jo ki gunahgār bhī hai

    isī vīrāne ko majnūñ nazar se dekheñ

    yahī vīrāna nazar aatā chaman-zār bhī hai

    jis ko dekho vahī mansūr banā phirtā hai

    daur-e-haq-goī se ḳhauf-e-rasan-o-dār bhī hai

    ne sochā bhī na hogā shab-e-furqat ke liye

    chāhne vāloñ meñ us ke tirā 'muḳhtār' bhī hai

    jaan-o-dil tujh pe luTane ko ye tayyar bhi hai

    ishq KHuddar sahi ishq wafadar bhi hai

    ye to taslim ki duniya hai jahannum lekin

    is ko firdaus bhi kahiye ki yahan pyar bhi hai

    yusuf-e-waqt ka chalta nahin kyon aaj pata

    hai zuleKHa bhi yahan misr ka bazar bhi hai

    waqt bahta hua dariya hai bahut tez-KHiram

    mere hathon mein magar waqt ki raftar bhi hai

    chum len shauq se hum chehra-e-laila-e-hayat

    ru-e-gulnar bhi hai chashm-e-fusun-kar bhi hai

    samne aankh ke ek bhiD hai insanon ki

    sare majma mein koi sahib-e-kirdar bhi hai

    sharm-e-isyan bhi hai aur KHauf-e-saza bhi dil mein

    saf-baatin hai wahi jo ki gunahgar bhi hai

    isi virane ko majnun ki nazar se dekhen

    yahi virana nazar aata chaman-zar bhi hai

    jis ko dekho wahi mansur bana phirta hai

    daur-e-haq-goi se KHauf-e-rasan-o-dar bhi hai

    tu ne socha bhi na hoga shab-e-furqat ke liye

    chahne walon mein us ke tera 'muKHtar' bhi hai

    Source:

    Sab Rang Sukhan Ke (Pg. 34)

    • Author: Mukhtar Tonki
      • Publisher: Mukhtar Tonki
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now