jaane de Tuk chaman mein mujhe ai saba sarak

jaane de Tuk chaman mein mujhe ai saba sarak
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
jaane de Tuk chaman meñ mujhe ai sabā sarak
kyuuñ chheḌtī hai tū mujhe nā-āshnā sarak
jaise añdherī raat meñ bijlī chamak ga.ī
us ruḳh se shab ga.ī jo vo zulf-e-dotā sarak
āsār-e-marg mujh meñ huvaidā hue magar
jab paas se ga.e mire sab āshnā sarak
kahtā hai vaqt-e-naza.a marīz us kā us se yuuñ
lagne de merī aañkh tū is dam zarā sarak
mayyat se merī guzre hai jis dam vo ba.ad-e-qatl
lāsha kahe hai ḳhuun se dāman bachā sarak
poroñ pe Dore bāñdhe haiñ us par shu.ūr ne
tā us ke funduqoñ kī na jaave hinā sarak
shab iḳhtilāt se vo mire kyā ḳhafā huā
had se ga.ī ziyāda jo añgusht-e-pā sarak
dhaḌke hai be-tarah se ye pahlū meñ raat din
Dartā huuñ zaḳhm-e-dil kī na jaave davā sarak
karne de mere ḳhuun ko ārām ḳhaak meñ
ai shor-e-hashr us ko abhī mat jagā sarak
ye kyā ġhazab huā ki na ḳhanjar lagā na tiir
pahlū se aaphī aap mirā dil gayā sarak
ḳhvāb-e-adam se maiñ abhī chauñkā huuñ duur ho
ai sub.h-e-ġham na apnā mujhe muñh dikhā sarak
pīchhe mire paḌā hai tū kyuuñ ghar kī raah le
rusvā kare gā kyā mujhe bahr-e-ḳhudā sarak
kyā be-hayā hai jo nahīñ Taltā tū 'mus.hafī'
sau baar maiñ ne tujh ko divāne kahā sarak
jaane de Tuk chaman mein mujhe ai saba sarak
kyun chheDti hai tu mujhe na-ashna sarak
jaise andheri raat mein bijli chamak gai
us ruKH se shab gai jo wo zulf-e-dota sarak
aasar-e-marg mujh mein huwaida hue magar
jab pas se gae mere sab aashna sarak
kahta hai waqt-e-naza mariz us ka us se yun
lagne de meri aankh tu is dam zara sarak
mayyat se meri guzre hai jis dam wo baad-e-qatl
lasha kahe hai KHun se daman bacha sarak
poron pe Dore bandhe hain us par shuur ne
ta us ke funduqon ki na jawe hina sarak
shab iKHtilat se wo mere kya KHafa hua
had se gai ziyaada jo angusht-e-pa sarak
dhaDke hai be-tarah se ye pahlu mein raat din
Darta hun zaKHm-e-dil ki na jawe dawa sarak
karne de mere KHun ko aaram KHak mein
ai shor-e-hashr us ko abhi mat jaga sarak
ye kya ghazab hua ki na KHanjar laga na tir
pahlu se aaphi aap mera dil gaya sarak
KHwab-e-adam se main abhi chaunka hun dur ho
ai subh-e-gham na apna mujhe munh dikha sarak
pichhe mere paDa hai tu kyun ghar ki rah le
ruswa kare ga kya mujhe bahr-e-KHuda sarak
kya be-haya hai jo nahin Talta tu 'mushafi'
sau bar main ne tujh ko diwane kaha sarak
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 172)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.