jaane kis baat ka mujhko ye sila dete hain
jaane kis baat kā mujh ko ye sila dete haiñ
dekh kar sāmne chilman vo girā dete haiñ
sho'la-e-shar ko vo is tarh havā dete haiñ
muskurātī huī āñkhoñ ko rulā dete haiñ
pyaar se aag jo nafrat kī bujhā dete haiñ
tapte sahrā ko vo gulzār banā dete haiñ
kar ke vo 'ahd-e-vafā roz daġhā dete haiñ
aur ilzām mire sar pe lagā dete haiñ
ho nahīñ saktī kabhī un se bhalā.ī sādir
jo buzurgoñ kī nasīhat ko bhulā dete haiñ
jaane kis baat ka mujh ko ye sila dete hain
dekh kar samne chilman wo gira dete hain
sho'la-e-shar ko wo is tarh hawa dete hain
muskuraati hui aankhon ko rula dete hain
pyar se aag jo nafrat ki bujha dete hain
tapte sahra ko wo gulzar bana dete hain
kar ke wo 'ahd-e-wafa roz dagha dete hain
aur ilzam mere sar pe laga dete hain
ho nahin sakti kabhi un se bhalai sadir
jo buzurgon ki nasihat ko bhula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.