Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kis liye ruThi aise zindagi humse

Mushaf Iqbal Tausifi

jaane kis liye ruThi aise zindagi humse

Mushaf Iqbal Tausifi

MORE BYMushaf Iqbal Tausifi

    jaane kis liye rūThī aise zindagī ham se

    naam tak nahīñ pūchhā baat bhī na ham se

    dekho vaqt aahaT tez hotī jaatī hai

    jo savāl baaqī haiñ pūchh lo abhī ham se

    koī ġham idhar aa.e us ko ghūrtī kyuuñ hai

    aur chāhtī kyā hai ab tirī ḳhushī ham se

    ek bhūlī-bisrī yaad aaj yaad kyuuñ aa.ī

    kyuuñ kisī ke milne aarzū milī ham se

    us ek uñglī par ghūmtī rahī duniyā

    chāñd tarah har shai duur ho ga.ī ham se

    jaane kis liye ruThi aise zindagi hum se

    nam tak nahin puchha baat bhi na ki hum se

    dekho waqt ki aahaT tez hoti jati hai

    jo sawal baqi hain puchh lo abhi hum se

    koi gham idhar aae us ko ghurti kyun hai

    aur chahti kya hai ab teri KHushi hum se

    ek bhuli-bisri yaad aaj yaad kyun aai

    kyun kisi ke milne ki aarzu mili hum se

    us ki ek ungli par ghumti rahi duniya

    chand ki tarah har shai dur ho gai hum se

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now