jaane kis rang ne likha hai mujhe
jaane kis rang ne likhā hai mujhe
har koī saaf dekhtā hai mujhe
koī baiThā huā sitāroñ meñ
'arsh kī samt khīñchtā hai mujhe
tere hoñThoñ pe kyoñ nahīñ aatā
tere chehre pe jo dikhā hai mujhe
maiñ jise rāsta dikhātā thā
taaq par vo hī rakh gayā hai mujhe
maiñ ne us paar jhāñknā chāhā
āsmāñ saath le girā hai mujhe
maiñ ne āñkheñ nichoḌ kar rakh diiñ
ab kahāñ ḳhvāb sūjhtā hai mujhe
ek chehra hī ho gayā mub.ham
aur sab kuchh to yaad sā hai mujhe
jaane kis rang ne likha hai mujhe
har koi saf dekhta hai mujhe
koi baiTha hua sitaron mein
'arsh ki samt khinchta hai mujhe
tere honThon pe kyon nahin aata
tere chehre pe jo dikha hai mujhe
main jise rasta dikhata tha
taq par wo hi rakh gaya hai mujhe
main ne us par jhankna chaha
aasman sath le gira hai mujhe
main ne aankhen nichoD kar rakh din
ab kahan KHwab sujhta hai mujhe
ek chehra hi ho gaya mubham
aur sab kuchh to yaad sa hai mujhe
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 71)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.