Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kitni der chalegi sath mere chamkili dhup

Yusuf Taqi

jaane kitni der chalegi sath mere chamkili dhup

Yusuf Taqi

MORE BYYusuf Taqi

    jaane kitnī der chalegī saath mire chamkīlī dhuup

    aane vaalā mausam laa.e shāyad giilī giilī dhuup

    qarya qarya kaañp rahā hai sard havā ke jhoñkoñ se

    kitne āñgan garmā.egī tanhā ek akelī dhuup

    chanchal shoḳh-adā kirneñ to duur dishā tak pahuñchīñ

    baiThī ḳhud ko kos rahī hai āñgan sharmīlī dhuup

    azmat mustahkam choTī shāyad us ko raas na aa.ī

    har chaukhaT ko chhūne niklī shohrat rañgīlī dhuup

    ham ne apnī hirs-o-havas ko baḳhshī itnī tābānī

    ab sadī meñ shāyad phaile bastī meñ zahrīlī dhuup

    jaane kitni der chalegi sath mere chamkili dhup

    aane wala mausam lae shayad gili gili dhup

    qarya qarya kanp raha hai sard hawa ke jhonkon se

    kitne aangan garmaegi tanha ek akeli dhup

    chanchal shoKH-ada kirnen to dur disha tak ja pahunchin

    baiThi KHud ko kos rahi hai aangan ki sharmili dhup

    azmat ki mustahkam choTi shayad us ko ras na aai

    har chaukhaT ko chhune nikli shohrat ki rangili dhup

    hum ne apni hirs-o-hawas ko baKHshi itni tabani

    ab ki sadi mein shayad phaile basti mein zahrili dhup

    Source:

    Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 66)

    • Author: Yousuf Taqi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Yousuf Taqi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now