Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kitnon ke liye rashk ka mehwar Thahra

Azhar Ghauri Nadwi

jaane kitnon ke liye rashk ka mehwar Thahra

Azhar Ghauri Nadwi

MORE BYAzhar Ghauri Nadwi

    jaane kitnoñ ke liye rashk mehvar Thahrā

    terā zaḳhmī bhī to qismat sikandar Thahrā

    lazzat dard baḌhtī chalī aatī hai

    tarab-añgez bahut ek nishtar Thahrā

    bhar ga.iiñ zehn meñ ra.anā.iyāñ ik jalve se

    ho kahīñ jaise koī pariyoñ lashkar Thahrā

    kyā shikast us ko bhalā gardish-e-daurāñ degī

    ḳhaak Dher jis ke liye bistar Thahrā

    merī mehmān-navāzī thā charchā aisā

    jo bhī tūfān-e-balā aayā mire ghar Thahrā

    ḳhasta-hālī se jo baunā nazar aatā thā tumheñ

    vaqt jab aayā to phir kitnā qad-āvar Thahrā

    nazr-e-jāñ rāh-e-mohabbat meñ bahut āsāñ hai

    shart mere liye kuchh mushkil-o-bartar Thahrā

    gar umañD aa.e to ġharqāb na ho shahr tamām

    ye jo āñkhoñ meñ hai ashkoñ samundar Thahrā

    kaise 'az.har' kisī sūraj ko salāmī degā

    kyoñ na ho apne zamāne qalandar Thahrā

    jaane kitnon ke liye rashk ka mehwar Thahra

    tera zaKHmi bhi to qismat ka sikandar Thahra

    lazzat dard ki baDhti hi chali aati hai

    tarab-angez bahut ek hi nishtar Thahra

    bhar gain zehn mein ranaiyan ek jalwe se

    ho kahin jaise koi pariyon ka lashkar Thahra

    kya shikast us ko bhala gardish-e-dauran degi

    KHak ka Dher hi jis ke liye bistar Thahra

    meri mehman-nawazi ka tha charcha aisa

    jo bhi tufan-e-bala aaya mere ghar Thahra

    KHasta-haali se jo bauna nazar aata tha tumhein

    waqt jab aaya to phir kitna qad-awar Thahra

    nazr-e-jaan rah-e-mohabbat mein bahut aasan hai

    shart mere liye kuchh mushkil-o-bartar Thahra

    gar umanD aae to gharqab na ho shahr tamam

    ye jo aankhon mein hai ashkon ka samundar Thahra

    kaise 'azhar' kisi suraj ko salami dega

    kyon na ho apne zamane ka qalandar Thahra

    Source:

    Khar-o-Gul (Pg. 49)

    • Author: Azhar Ghauri Nadwi
      • Publisher: Azhar Ghauri Nadwi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now