jaane kya kuchh hai tujh mein zam mera
jaane kyā kuchh hai tujh meñ zam merā
haath mat chhoḌ ek dam merā
tum mire pīchhe pīchhe mat aao
itnā raushan nahīñ qadam merā
muskurā kar na dekhiye mujh ko
kaam itnā nahīñ hai kam merā
lenā denā nahīñ falak se kuchh
sīdhā rakhtā hai mujh ko ḳham merā
tere māñ-bāp kī ho 'umr darāz
khā gayā merī maañ ko ġham merā
jaane kya kuchh hai tujh mein zam mera
hath mat chhoD ek dam mera
tum mere pichhe pichhe mat aao
itna raushan nahin qadam mera
muskura kar na dekhiye mujh ko
kaam itna nahin hai kam mera
lena dena nahin falak se kuchh
sidha rakhta hai mujh ko KHam mera
tere man-bap ki ho 'umr daraaz
kha gaya meri man ko gham mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.